Aap Ne Mere Maula Haq Ko Zindagi De Di

Wordings

English

Aap ne mere Maula haq ko zindagi de di
Sar kata ke sajde meiN daad e bandagi de di
Aap ne mere Maula haq ko zindagi de di

Jo matab aaye thi bargah e Khaliq se
Manzil e Shahadat par sab hasi khushi de di
Aap ne mere Maula haq ko zindagi de di

Ya Husaan insaaN par Aap ka yeh ehsaaN hai
Soye soye zahenoN ko Fikr o aaghai de di

Aap ki mohabbat ka, yeh sila bhi kya kam hai
Qalb ke andhere ko gham ki raushni de di

Maut haat phalaye bheek maangti aaye
Aap ne taras kha kar Apni zindagi de di

Dafn kar ke Asghar ko khaak e arz e maqtal mein
Karbala ke sahra ko, ghar ki chandini de di

Ai Shabeeb* ummat ko aur dete Sheh kya kya
Apna ghar fida kar ke, Apni jaan bhi de di
Aap ne mere Maula haq ko zindagi de di

Shares
Scroll to Top