Qadam Qadam Pa Diye Aise Imthiyan Zainab
Wordings
English
Qadam qadam pa diye aise imthiyan Zainab
Misal laye gi duniya teri kahan Zainab
Qadam qadam pa diye aise imthiyan Zainab
Sitam ka badhta hua haat yeh samajh na saka
Ke Tere gosha e chadar mein thiN jina Zainab
Qadam qadam pa diye aise imthiyan Zainab
Bata rahiN ke bardasht hi hadeN kya haiN
Who pusht e paak par ubhre hue nishaan zainab
Qadam qadam pa diye aise imthiyan Zainab
Har eik dayaar, haeik shaher meiN hui goya
Zabaan Teri ShaheedoN ki tarjumaaN Zainab
Qadam qadam pa diye aise imthiyan Zainab
Shabeeb* haq ki ishaat ka kaam tha warna
Kahan Madina, kahan Karbala, Kahan Zainab
Qadam qadam pa diye aise imthiyan Zainab
