Aayaten Soo Gayin Khamoosh Hai Quran Zainab
Wordings
English
AayateN so gayiN khamosh hai Quran Zainab
Aa gayi aa gayi ab shaam e gharebaN Zainab
AayateN so gayiN khamosh hai Quran Zainab
Ho gayi Aun o Mohammad ki shahadat rann me
Mil gaye khaak meiN Tere sabhi armaaN Zainab
AayateN so gayiN khamosh hai Quran Zainab
Roz e ashoor hue dil ke babattar tukde
Shaam aayi to hui be sar o samaN ZKinab
AayateN so gayiN khamosh hai Quran Zainab
Jis ke angan me baharo ka guzar tha har soo
Dekhte dekhte wo ho gaya weeran Zainab
AayateN so gayiN khamosh hai Quran Zainab
Waqt islaam pe aaya to sar e karbobala
Tu ne bhi goad ke paale kiye qurban Zainab
AayateN so gayiN khamosh hai Quran Zainab
Ab na Abbas na Qasim na Ali Akbar haiN
Ya Ali dekhiye hain kitni pareshan Zainab
AayateN so gayiN khamosh hai Quran Zainab
Phool sab khaak hue doob chuke sar taare
Ho gaya gulshan e Zehra bhi biyaban Zainab
AayateN so gayiN khamosh hai Quran Zainab
Soo e Sajjad koi aanch na aane paayi
Ye tera nasl e Imamat pe hai ehsaan Zainab
AayateN so gayiN khamosh hai Quran Zainab
Jism e Shabbir pa jitne bhi lage hain khanjar
Tere bhi dil pe lage utne hi paikaa Zainab
AayateN so gayiN khamosh hai Quran Zainab
Asr tak deen ke muhafiz thay Husain ibne Ali
Asr ke baad hui deeN ki nigehbaaN Zainab
AayateN so gayiN khamosh hai Quran Zainab
Umr bhar yaad Sakeena ki rulaye gi tujhe
Bhool sakti nahi tu shaam ka zindan Zainab
AayateN so gayiN khamosh hai Quran Zainab
Sher kahne ka hunar kuch to ataa ho jaye
Apne Javed* pa kuch kijiye ehsan Zainab