Akbar Ki Laash Uthaten Hain Shah – Ya Ali Madad

Wordings

English

Akbar ki laash uthateN hain Shah, Ya Ali Madad
UtthteN haiN, Baith jaate hain Shah, Ya Ali Madad
Akbar ki laash uthateN hain Shah, Ya Ali Madad

Bazoo kata ke soo gaya, Ghazi lab e Furath
Mashk o Alam uthateN haiN Shah, Ya Ali Madad
Akbar ki laash uthateN hain Shah, Ya Ali Madad

Jalti hui zameen par, paani ke waste
Besheer ko litate haiN Shah, Ya Ali Madad
Akbar ki laash uthateN hain Shah, Ya Ali Madad

Maqtal se aa ke ab Ali Akbar li laash par
Sughra ka khat sunateN hain Shah, Ya Ali Madad
Akbar ki laash uthateN hain Shah, Ya Ali Madad

Akbar haiN paas aur na Abbas paas haiN
TeeroN pa teer khateN haiN Shah, Ya Ali Madad
Akbar ki laash uthateN hain Shah, Ya Ali Madad

Maidan mein Sheerkhaar ko paani nahin mila
HatoN par laash uthateN hain Shah, Ya Ali Madad
Akbar ki laash uthateN hain Shah, Ya Ali Madad

Khanjar gale par chalta hai, shimr e laeen ka
Abbas ko bulate haiN Shah, Ya Ali Madad
Akbar ki laash uthateN hain Shah, Ya Ali Madad

Shares
Scroll to Top