Aseer Ho Ke Chali Hoon – Salaam Ai Baba
Wordings
English
Aseer ho ke chali hooN, Salaam ai Baba
Yahan se jaati hooN zindaan e shaam, ai Baba
Suno Sakina se gham ka payaam, ai Baba
Hamare jal gaye saare khyaam, ai Baba
Kahan kahan ho na jane qayaam, ai Baba
Hai wajhe zeest Tumhara hi naam, ai Baba
Aseer ho ke chali hooN, Salaam ai Baba
Suna hai shaam ka darbar jab bhara hoga
yazeed ka sare darbar saamna hoga
Mera to Bhai bhi zanjeer se bandha hoga
Phupi jo pauche gi darbaar meiN to kya hoga
Aseer ho ke chali hooN, Salaam ai Baba
Hamara Karbobala mein qayaam ho na saka
Tumhare dafn ka bhi intezam ho na saka
Pade ho khaak pe kuch ehtemam ho na saka
Yeh zoaf hai ke ada bhi salaam ho na saka
Aseer ho ke chali hooN, Salaam ai Baba
Abhi se shaam ko jaane ki ibteda dekho
Rasan se ghut’ta hai Baba Mera gala dekho
Phupi ke sar se bhi to cheen li rida dekho
Yeh ibteda hai to kya hogi inteha dekho
Aseer ho ke chali hooN, Salaam ai Baba
Jo poocho sabr to mai Fatema ki poti hooN
Mai apne kunbe ki mazlumiyat ko roti hooN
Tumhe na paa ke bahot dilfigaar hoti hooN
Yeh keh ke dashte bureeda pe jaan khoti hooN
Aseer ho ke chali hooN, Salaam ai Baba
Yeh Mera aakhri ab to salaam lo Baba
Jo ho sake to gala aake khol do Baba
Zaroor aana bula’ungi Aap ko Baba
Dua karo mujhe eeza na aur ho Baba
Aseer ho ke chali hooN, Salaam ai Baba
Hai ab bhi peshe nazar waqiyate karbobala
Wohi hai shimr ka khanjar wohi hai Sheh ka gala
Wohi hai shaam ka bazaar aur wohi koofa
Urooj* ab bhi Sakina ki aa rahi hai sada
Aseer ho ke chali hooN, Salaam ai Baba
Yeh ibtheda hai musibat ki inteha bhi nahi
Guzar gayi hai qayamat magar gila bhi nahi
Phupi ke sar pa kafan ke liye rida bhi nahi
Aur aaj hosh may Beemare Karbala bhi nahi
Aseer ho ke chali hooN, Salaam ai Baba
Hai sar pe khaak bhi gham bhi hai aur buka bhi hai
Hai kamsini bhi musibat bhi aur jafa bhi hai
phupi ke saaath rasan me mera gala bhi hai
In aafatoN se guzarne ka hausla bhi hai
Aseer ho ke chali hooN, Salaam ai Baba
Na poocho haalate Bemaar e Karbala Baba
Hamare haiN yehi Salaar e Qafila Baba
Chupi se sah gaye har zulm har jafa Baba
Hai aaj shaam ki manzil kamar hala Baba
Aseer ho ke chali hooN, Salaam ai Baba
