Kehte Rahe Hussain Yeh Rokar Tamaam Raat

Wordings

English

Kehte rahe Hussain yeh rokar tamaam raat
Dill bhar ke dekh lo meri khwahar tamaam raat

Zainab yeh roke kehti thiN betoN se baar baar
Surat tumhari dekh le Maadar tamaam raat

Aada se to bachaiyo bhai ko aey Khuda
Kehti rahi yeh Zainab-e-muztar tamaam raat

Kyukar bachaogi tumhe aada ke haath se
Kehti rahi yeh Shah se Khwahar tamaam raat

KaanoN se jo Sakina ke cheene ge ashkiya
Dekha kiya Hussain woh gauhar tamaam raat

Farmaya dafn karke yeh Asghar se Shah ne
Darna na qabr maiN Mere Dilbar tamaam raat

Laila jalake sham’ma yeh Akbar se kehtiN thiN
Surat tumhari dekh le maadar tamaam raat

Yeh kab khabar thi subha ko Asghar na hoyega
Tadpa karegi khaakh pe maadar tamaam raat

Shares
Scroll to Top