Bediyan Pairon Mein Hain
Wordings
English
Tha lab e Zainab pa nauha, Bediyan pairon Mein Hain
Kya chaleN Sajjad rasta, Bediyan pairon Mein Hain
Tha lab e Zainab pa nauha, Bediyan pairon Mein Hain
Bole Aabid, dafn maiN kaise karoon, kyunkar karooN
Bekafan Baba ka laasha, Bediyan pairon Mein Hain
Tha lab e Zainab pa nauha, Bediyan pairon Mein Hain
Do qadam chalte haiN gir jaate haiN, Aabid kya kareN
Zor hai tashnalabi ka, Bediyan pairon Mein Hain
Tha lab e Zainab pa nauha, Bediyan pairon Mein Hain
Bhai se ummeedeN Hamdar bhi kare to kya kare
Ro ke kahte hai Sakeena, Bediyan pairon Mein Hain
Tha lab e Zainab pa nauha, Bediyan pairon Mein Hain
Boli Zainab Sayyad e Sajjad se, Ai mere laal
Shaam tak tumko hai jaana, Bediyan pairon Mein Hain
Tha lab e Zainab pa nauha, Bediyan pairon Mein Hain
Baad e Sarwar dekhiyea to, Aabid e Beemar ko
Aa gaya aisa zamana, Bediyan pairon Mein Hain
Tha lab e Zainab pa nauha, Bediyan pairon Mein Hain
Ya Ali Sajjad ki Mushkil-kushai keejiyea
Hai atash se zard chhera, Bediyan pairon Mein Hain
Tha lab e Zainab pa nauha, Bediyan pairon Mein Hain
Besahara kaun Ishrat*, Sayyad e Sajjad ko
Dard ka seene mein naiza, Bediyan pairon Mein Hain