Safar Mein Aakhri Daulat Luta Ke Rooten Hain

Wordings

English

Safar mein aakhri daulat luta ke rooteN hain
Hussain turbat e Asghar bana ke rooteN hain
Safar mein aakhri daulat luta ke rooteN hain

Yeh kis Charagh ko ai shaamiyoN bujha daala
Ke jis ki yaad meiN jhooke hawa ke roote hain
Safar mein aakhri daulat luta ke rooteN hain

Madine wealoN ko khalta tha girya e Zaherra
Hussain iss liye jangal basa kar rooteN hain
Safar mein aakhri daulat luta ke rooteN hain

Hamare ghar meiN bhi hootiN hain majlis e Shabbir
Hamare ghar mein bhi Sajjad aa ke rooteN hain
Safar mein aakhri daulat luta ke rooteN hain

Na jaane ashkoN ne kya likh diya hai Sughra ne
Pisar ki laash pa Shah khat suna ke rooteN hain
Safar mein aakhri daulat luta ke rooteN hain

Rabab ko dar e khaima pa dekh kar Maula
ZubaN se kuch na kaha, Sar jhuka ke rooteN hain
Safar mein aakhri daulat luta ke rooteN hain

Hua hai dasht meiN paamaal, haye Ibn e Hasan
Hussain laash ke tukde utha ke rooteN hain
Safar mein aakhri daulat luta ke rooteN hain

Bilaal* Shaam e GhareebaN ki yaad aati hai
Dam e charagh e shab e gham bujha ke rooteN hain
Safar mein aakhri daulat luta ke rooteN hain

Shares
Scroll to Top