Dil Behen Ke Liye Tadpe Toh Mujhe Khat Likhna
Reciter
Abbas Hussain (Lucky)
About
Janab e Sughra
Wordings
English
Dil Behen ke liye tadpe toh mujhe khat likhna
Zikr Sughra ka jo chede toh mujhe khat likhna
Yeh Behen jeeti hai is aas me abtak Akbar
Baat shaadi ki jb aaye toh mujhe khat likhna
Hai Sakeena ko bhut mujhse bichadne ka khalaq
Woh mere waste roye toh mujhe khat likhna
Meri nazroN meiN hai Asghar ki humakne ki adaa
Ghutniyo farsh par duade toh mujhe khat likhna
Mere baba mere Ammu meri pyari Phupiya
Jab mera naam koi le toh mujhe khat likhna
Ek nazar he sahi Baba ki ziyarat kar looN
Aisi surat koi nikle toh mujhe khat likhna
Sabki furqat se meri jaan pe bani hai Bhaiya
Koi jeene ki dua de toh mujhe khat likhna
Dil me Sughra ke Munawwar* yeh tamanna hi rahi
Bhaiya qasid mera pouche toh mujhe khat likhna
