Ghata Gham Ki Aalam Par Jo Cha Rahi Hai

Wordings

English

Ghata gham ki aalam par jo cha rahi hai
Musibat hai kiski jo rulwa rahi hai
Ghata gham ki aalam par jo cha rahi hai

Talatum hai dariya pyasooN ka gham hai
Har eik mauj saahil se takra rahi hai
Ghata gham ki aalam par jo cha rahi hai

Chacha la ke paani pilayen ge Tum ko
Phupi yeh Bhatiji ko samjha rahiN hai
Ghata gham ki aalam par jo cha rahi hai

Kiya tha ke par ja kar Ghazi ne qabza
To mashk e Sakina bhari jaa rahi hai
Ghata gham ki aalam par jo cha rahi hai

Chale rann ko Akbar to Madar pukariN
Mere dil ke duniya luti jaa rahi hai
Ghata gham ki aalam par jo cha rahi hai

Woh laashe jawaN rann se laate hain Sarwar
Jawani zaeefi se sharma rahi hai
Ghata gham ki aalam par jo cha rahi hai

Yeh kahtiN thiN Zainab saf e gham bicha kar
Ke maqtal se Doohla ki Laash aa rahi hai
Ghata gham ki aalam par jo cha rahi hai

Yeh Kiske Gale par churi chal rahi hai
Yeh kiski Bahen nange sar aa rahi hai
Ghata gham ki aalam par jo cha rahi hai

Yeh kahtiN thiN Maa khali jhoola jhulaa kar
Mujhe apne bachche ki yaad aa rahii hai
Ghata gham ki aalam par jo cha rahi hai

Naqi* tere Maqsad mein aate hain Haider
Andhere mei kuch jo raushni aa rahi hai
Ghata gham ki aalam par jo cha rahi hai

Hain bas unhi ke waaste jannat ke baam o dar

Shares
Scroll to Top