Haaye Asghar Ghar Mein Aao

Wordings

English

Ek dukhiya Maa ka yeh naala hai, Asghar ghar meiN aao,
Haaye Asghar ghar meiN aao
Khali jhula Maa ko tadpata hai, Asghar ghar meiN aao
Haaye Asghar ghar meiN aao

Hai andheri raat aur tum ho akele mere Laal,
Darr naa jao dekho sannata hai, Asghar ghar meiN aao
Haaye Asghar ghar meiN aao

Maaf kar do jo khata Maa se hui ho mere Laal
Rooth ke yuh bhi koi jata hai, Asghar ghar meiN aao
Haaye Asghar ghar meiN aao

Aao aao maiN gale ke zakhm ko toh bandh dooN
Jism ka sab khooN baha jata hai, Asghar ghar meiN aao,
Haaye Asghar ghar meiN aao

Maa ke hote Karbala ki khaaq par sote ho tum
Rote ho yaa koi behlata hai, Asghar ghar meiN aao,
Haaye Asghar ghar meiN aao

Haye kheme jal gaye, qaidi bane, chadar chhini
Karbala se qafila jata hai, Asghar ghar meiN aao,
Haaye Asghar ghar meiN aao

Qatl Sarwar ho gaye, gash meiN haiN Sajjade Hazeen
Aag se khaima jala jata hai, Asghar ghar meiN aao,
Haaye Asghar ghar meiN aao

Yaad aateN hain jo Nasir* Bano e Muztar ke bain,
AaNkh bhar aati hai, dil rota hai, Asghar ghar meiN aao,
Haaye Asghar ghar meiN aao

Shares
Scroll to Top