Beemar E Karbala Hai – Aur Shaam Ka Safar Hai

Wordings

English

Beemar e Karbala hai, aur shaam ka safar hai
PairoN meiN aable haiN KatooN ki rahguzar hai
Beemar e Karbala hai, aur shaam ka safar hai

Koi bataye kaise, Aabid ko sabr aaye
Ahl e Haram haiN qaidi, naize par Sheh ka sar hai
Beemar e Karbala hai, aur shaam ka safar hai

Ro ro ke dhoondti hai, eik eik ki goad Bano
Koi bataye Mujhko, Asghar mera kidhar hai
Beemar e Karbala hai, aur shaam ka safar hai

Seene par sone wali, ko tum sulao Bano
Aaye sada yeh rann se, Asghar mera idhar hai
Beemar e Karbala hai, aur shaam ka safar hai

HaatoN meiN rassiya haiN, Sar pa nahin hai chadar
Chhere bata raheN hai, ab umr mukhtasar hai
Beemar e Karbala hai, aur shaam ka safar hai

Dariya pa ja ke koi, Abbas ko jaga de
Aur kah de uski Khawar, sehra mein dar-badar hai
Beemar e Karbala hai, aur shaam ka safar hai

Kuch iss tarah dilase deti thi Bint e Zaherra
Soo ja Meri Sakeena, Zindaan tera ghar hai
Beemar e Karbala hai, aur shaam ka safar hai

Shah iss liye tilawat naiza par kar rahen hain
Ahle haram ki janib kuffar ki nazar
Beemar e Karbala hai, aur shaam ka safar hai

Chaliyea Madina chaliyea, yeh kah rahiN thiN Zainab
Bhabi Rabab utthiyea, rona toh umr bhar hai
Beemar e Karbala hai, aur shaam ka safar hai

Itne Raza* tamache, khaye hain raaste meiN
BachchoN ko zalimoN ka, Zindaan meiN bhi dar hai
Beemar e Karbala hai, aur shaam ka safar hai

Shares
Scroll to Top