Mere Ghareeb Ko Lakhon Ne Mil Ke Mara Hai

Wordings

English

Damishk meiN jo Ghareebon ka qafila pahoncha
yazeed e nahes ne darbar meiN bula bheja
Behen se Sheh ki shahadat ka waaqeya poocha
Tarap ke Binte Ali ne yazeed se ye kaha
Zameen ki goad me Islam ka sitara hai
Mere Ghareeb ko lakhoN ne mil ke mara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain

Kaha yazeed se Zainab ne eh sitam aara
Ghazab kiya tere lashkar ne roze Ashura
Mere Hussain ko jangal me gheyr ke mara
Ali ka kar diya barbaad ghar ka ghar saara
Jo bekafan hai abhi tak Nabi ka Pyaara hai
Mere Ghareeb ko lakhoN ne mil ke mara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain

Na marte marte kissi ek ko mila paani
Na Bekason ke qareeb aaya bewafa paani
Tadap ke rah gaye bache na mil saka paani
Woh tadpey paani ko, unpe tarap gaya paani
Zameen jalti hai har zara ek sharara hai
Mere Ghareeb ko lakhoN ne mil ke mara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain

Shaheed ho gaye Abbas o Qasim o Akbar
Woh mere Aon o Mohammed woh mere Noor e Nazar
Tujhe main doondho kahan bezuban Ali Asghar
Bathao BibiyoN maiN ro,ooN aaj kis kis par
Shaqi ne Sibte Payambar ka sar uthaara hai
Mere Ghareeb ko lakhoN ne mil ke mara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain

Suhaag ujra kisi ka, kisi ki kokh jali
Kisi ka jal gaya daman, rida kisi ki chinee
Kisi ki maang me Karbobala ki khakh padi
Nabi ki Aal hai zindaaN meiN Ya Ali Madadee
Jahan meiN Zainab e Dilgeer besahara haiN
Mere Ghareeb ko lakhoN ne mil ke mara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain

Notes:

Some of the Nauhas recited by Mohtarma Sabira Kazmi were written by her

Shares
Scroll to Top