Jis Bashar Ne Nafs E Paighambar Ko Paichana Nahin

Wordings

English

Jis bashar ne Nafs e Paighambar ko pehchana nahiN
Usne Paighambar ko Paighambar kaha jaana nahiN

Jo Hussain ibne Ali ke gham meiN deewana nahiN
Manzile Aale Nabi ko usne pehchana nahiN

Batt rahi hai aaj bhi jis ja sharabe maarefat
Jus dare Aale Nabi ke koi maikhana nahiN

Mitt gaya qasre yazeedi mitt gaya naame yazeed
Aaj tak soona magar koi azakhana nahiN

Zindagi meiN rooye Paighambar Shah e Mazloom par
Rokti hai humko duniya, ashq barsana nahiN

Marziye Maabod jaaN dekar mili Shabbir ko
Yeh haqeeqat hai qasam Qura’n ki, afsana nahiN

Chahte ho khuld meiN jaana agar Hurr ki tarah
Marte marte daman e Sheh chod kar jaana nahiN

Fauj e dushman se nikal kar Hurr chala kehta hua
Is taraf rehkar jehennum mai mujhe jaana nahiN

Hone waala hai bahut jaldi Imamat ka zahoor
Ahle imaan kasrate baatil se ghabrana nahiN

Zere khanjar bhi musalmano se kehte thay Hussain
Jiska tum padhte ho kalma kya mera Nana nahiN

Keh rahi hai aaj bhi humse wafa Abbas ki
Haath katt jaaye Alam ko chod kar jaana nahiN

Mushkile jitni pade sarwar ne Zainab se kaha
Dukhtare Mushkil Kusha mushkil mai ghabrana nahiN

Dushmane Aal e Muhammad ke liye baade fana
Khuld se awaaz aaye gi idhar aana nahiN

De gaye hain dars Naawak* haq parasto ko Hussain
Kuch bhi ho baatil ke aage haath phailana nahiN

Shares
Scroll to Top