Karbala Pauche Hain Sarwar – Ya Iliahi Khair Ho

Wordings

English

Karbala pahchue haiN Sarwar, ya illahi khair ho
Har taraf hai bss sitamgar, ya iliahi khair ho
Karbala pahchue haiN Sarwar, ya illahi khair ho

Bhai, Bete Bebiya aur saath me bachche bhi hai
Sab na jayeNge palat kar, ya illahi khair ho
Karbala pahchue haiN Sarwar, ya illahi khair ho

Kal tha jin aankho’n mai bass husn e Madina aur ab
Khoo bhare dekheN ge manzar, ya illahi khair ho
Karbala pahchue haiN Sarwar, ya illahi khair ho

Lo sitamgaroN ne pabandi laga di aab par
Khuld maiN tadpega Kausar, ya illahi khair ho
Karbala pahchue haiN Sarwar, ya illahi khair ho

Hone waali hai azan e sub e Aashoora abhi
Zulm ab hoge muqarrar, ya illahi khair ho
Karbala pahchue haiN Sarwar, ya illahi khair ho

Naalbandi kar raha hai yazeedi ghur-sawaar
Beech mein hai laash e sarwar, ya illahi khair ho
Karbala pahchue haiN Sarwar, ya illahi khair ho

Katne wala hau sare Sheh woh ghadi bhi aa gayi
Hai dar e khaime pe Khawahr, ya illahi khair ho
Ab azaan dete haiN Akbar, ya illahi khair ho
Badh ke aey Fizza zara Laila ka baazu thaam lo
Chhin gayi Phupiyon ki chaadar, ya illahi khair ho
Karbala pahchue haiN Sarwar, ya illahi khair ho
Karbala pahchue haiN Sarwar, ya illahi khair ho
Karbala pahchue haiN Sarwar, ya illahi khair ho
Sakht kitnaa imetehan Sayyade Sajjad hai

Apne dil ki kaifiyt kaise bayan ho aey Suroor*
Der tak roya hun likh kar, ya illahi khair ho
Karbala pahchue haiN Sarwar, ya illahi khair ho

Shares
Scroll to Top