Faryaad Hai Faryaad

Wordings

English

KartiN thiN yeh ro ro ke fughaN Zainab e Nashaad
Fariyaad hai fariyaad
Pardes meiN Zaherra ka bhara ghar hua barbaad
Fariyaad hai fariyaad

Barchi ki ani seena e Akbar meiN lagi hai,
Kya Maa pa bani hai
Tasweer e Nabi rann mein hui jaati hai barbaad
Fariyaad hai fariyaad

Zeenat ke liye daale haiN Gardan mein jo Quraan
Soorat se musalmaan
Ham Aal e Payambar hain, inhe yeh bhi nahiN yaad
Fariyaad hai fariyaad

Kya kya na Masaiab hue kya kya na sahe gham
Jab qaid hue Hum
Har gaam par eik taaza sitam, eik nayi uftaad
Fariyaad hai fariyaad

Pardes mein Hum Ahle Haram aise lute hain
Sar nange phireN haiN
Ruk jaate to dete thay aziyaat sitam eijaar
Fariyaad hai fariyaad

Tapti hui sahra ki zameeN, raah mein kaaNte
Aur paoN meiN chale
Ghash kha ke na gir jayeN kahin Sayyed e Sajjad
Fariyaad hai fariyaad

Ab Aun o Mohammad hain, na Abbas na Akbar
Qasim haiN na Asghar
Har eik ne ghar chhod ke maqtal kiya aabaad
Fariyaad hai fariyaad

RotiN thiN Sakeen jo kabhi gham se bilak kar
Ho jata tha maishar
GaloN pa lagate thay tamache sitam eijaar
Fariyaad hai fariyaad

Ghabrati thi zindaN ke andhere meiN Sakeena
Dushwaar tha jeena
Ab qaid meiN sooti hai wohi Bekas o Nashaad
Fariyaad hai fariyaad

Sahir* gham e Shabbir meiN aasoN na rukeN ge
Ta hashr baheN ge
Ab ham ko nahiN kuch bhi Masayab ke siwa yaad
Fariyaad hai fariyaad

Shares
Scroll to Top