Lagai Sajde Mein Zarbat Bina Khata – Haye-Haye

Wordings

English

Lagai sajde meiN zarbat bina khata, haye-haye
Shaheed ho gaye, afsoos Murtaza, haye-haye!

Har eik chhere pa taari tha gham shahadat ka
NamaziyoN ke labon par tha, ya Khuda, haye-haye!

HaiN itne zakham ke dard ki taab la na sake
Tadap tadap ke yuNhi dam nilal gaya, haye-haye!

Dahade maar ke rotiN haiN Zainab o Kulsoom
Thi jisse aas woh Baba nahi raha, haye-haye!

Woh jisko deen ne seecha tha haq ke saaye mein
Ujaad daala woh Gulshan hara-bhara, haye-haye!

Yeh kya ghazab hua unniswiN ko Ramzan ki
Hui hai zulm ki masjid mein intheya, haye-haye!

Lipat ke Baap se Abbas ne kaha ro kar
Yeh kis kasoor ki humko mili saza, haye-haye!

Woh jiske dam se tha raushan usool e deeN ka wiqaar
Woh aayatoN ka zakheera chala gaya, haye-haye!

Yahan pa dard se Maula Ali tadapteN haiN
Laraz rahi hai wahaN qabr e Mustapha, haye-haye!

Yeh bain karte thay Hasnain siskiyaN le kar
Mila hai quam se Nana ki yeh sila, haye-haye!

Usi pa zulm o tashadud kiya musalmaN ne
Rasool e Paak ki godi meiN jo pala, haye-haye!

Charag e Haq ko kiya gul hawa er baatil ne
Hai masjidon mein andhera ghira hua, haye-haye!

Yeh din kayamat e sughra se kam nahin ShiyoN
Udaoo khaak ke Aaqa nahiN raha, haye-haye!

Yateem ho haya jaise Ali bagair Islam
Karega kaun ka ab deen ki baka, haye-haye!

Abhi to Amma ke sadme se dil bhara hi na tha
Padar ke baad yeh eik aur gham mila, haye-haye!

Bahaye ashk na phir kyun Raza* Ali wale
GaraN hai dil pa yeh Aaka ka saaniya, haye-haye!

Shares
Scroll to Top