Main Qaid Mein Hoon

Wordings

English

ZindaN e sitam se ahle aza, aati hai kisi Bibi ki sada
Sab reha huwe MaiN qaid mein hooN, MaiN qaid mein hooN
Humraah Mere koi na raha, MaiN aaj bhi hooN tanha tanha
Sab reha huwe MaiN qaid mein hooN, MaiN qaid mein hooN

Maayein Phupiyan Bhai Behne, Abbas Chacha Baba Sarwar
MaiN sab ki chaheeti thi ghar mein, sab jaan chidakte thay Mujh par
Yeh kaisi chali ghurbat ki hawa, yasrab bhi chuta kunba bhi chuta
Sab reha huwe MaiN qaid mein hooN, MaiN qaid mein hooN
ZindaN e sitam se ahle aza, aati hai kisi Bibi ki sada

ZindaN se meri tanhaai par, sab karte huwe faryaad gaye
Turbat se Meri ruqsat ho kar, khooNn rote huwe Sajjad gaye
Humraah mere koi na raha, MaiN aaj bhi hooN tanha tanha
Sab reha huwe MaiN qaid mein hooN, MaiN qaid mein hooN
ZindaN e sitam se ahle aza, aati hai kisi Bibi ki sada

Us qaid mein hooN din raat Jahan, wehshat ka basera rehta hai
Suraj to nikalta hai lekin, is ghar mein andhera rehta hai
Aye kaash koi zaair mera, ek deep jalaade aake zara
Sab reha huwe MaiN qaid mein hooN, MaiN qaid mein hooN
ZindaN e sitam se ahle aza, aati hai kisi Bibi ki sada

Nazron mein phira karta hai meri, har ek ki chaahat ka manzar
Rehti thi Chacha ki godhi mein, soti thi Padar ke seene par
Ghar mera bana ZindaN e bala, aur khaak bani bistar Mera
Sab reha huwe MaiN qaid mein hooN, MaiN qaid mein hooN
ZindaN e sitam se ahle aza, aati hai kisi Bibi ki sada

Har samt parindo se aksar, kehti thi Sakina ro ro kar
Mujh dukhiya par ehsaan karo, gar Karbobala raste mein pade
Eik Sher taraayi par hoga, us Sher se itna keh dena
Sab reha huwe MaiN qaid mein hooN, MaiN qaid mein hooN
ZindaN e sitam se ahle aza, aati hai kisi Bibi ki sada

HaathoN ko utha ke suye Najaf, Dada se duayein maangte haiN
Sab mera waseela de de kar, Baba se duayein maangte haiN
Par mera naseeba hai kaisa, chauda sadiyon se ahle aza
Sab reha huwe MaiN qaid mein hooN, MaiN qaid mein hooN
ZindaN e sitam se ahle aza, aati hai kisi Bibi ki sada

Har waqt andhere daste hai, Har aan Mujhe darr lagta hai
MaiN dhooNndti hooN jab darwaza, deewaron se sar lagta hai
ZindaN mein rahun kaise tanha, kul chaar baras hai sin Mera
Sab reha huwe MaiN qaid mein hooN, MaiN qaid mein hooN
ZindaN e sitam se ahle aza, aati hai kisi Bibi ki sada

Nana ka Madina chooNt gaya, kuch aisa laga kismat ko gahan
Jab ghooNmne phirne ke din thay, us waqt bandhi gardan mein rasan
MaiN bekas kamsin masooma, kuch bhi to nahi hai meri khata
Sab reha huwe MaiN qaid mein hooN, MaiN qaid mein hooN
ZindaN e sitam se ahle aza, aati hai kisi Bibi ki sada

Shabbir ke matamdaron ko, ye dard o alam tadpaate haiN
Tehreer e Sakina pad pad kar, zawwaroN ke dil phat jaate haiN
Ashkon se Bilal* e karbobala, ZindaN ki faseeroN par hai likha
Sab reha huwe MaiN qaid mein hooN, MaiN qaid mein hooN
ZindaN e sitam se ahle aza, aati hai kisi Bibi ki sada

Shares
Scroll to Top