Zindan Mein Sakina Ka Tha Nauha Mere Baba
Wordings
English
Zindan meiN Sakina ka tha nauha Mere Baba
Dasta hai mere dil ko andhera Mere Baba
Zindan meiN Sakina ka tha nauha Mere Baba
Kehne ko hooNN maiN Bani-Hashim ki Bhatiji
Muddat se nahi dekha ujaala Mere Baba
Zindan meiN Sakina ka tha nauha Mere Baba
Hai saath mere shaam e ghariban ke andhere
Kya jaaniye kab hoga savera Mere Baba
Zindan meiN Sakina ka tha nauha Mere Baba
Iss sin mein judaai ka garan baar uthaun
Laaun maiN kahaN se woh kaleja Mere Baba
Zindan meiN Sakina ka tha nauha Mere Baba
Dadi ki tarha toot gayiN phasliyaN Meri
Woh dard hai pal bhar nahi thamta Mere Baba
Zindan meiN Sakina ka tha nauha Mere Baba
Sab log reha ho ke chale jayenge Yasrab
Reh jaungi MaiN qaid mein tanha Mere Baba
Zindan meiN Sakina ka tha nauha Mere Baba
Kya ab Mujhe dekhoge to pehchaan sakoge
Badla hai ghamoNn ne Mera chehra Mere Baba
Zindan meiN Sakina ka tha nauha Mere Baba
Iss khaak ke bistar ne Mujhe maar diya hai
Uth’ti hooNN to yeh jism hai dukhta Mere Baba
Zindan meiN Sakina ka tha nauha Mere Baba
Yeh keh ke hamesha ke liye soo gayi Bacchi
Baba Mere Baba Mere Baba Mere Baba
Zindan meiN Sakina ka tha nauha Mere Baba
Hai dil se Bilal* aap ka gham-khaar o azadaar
Sadqe meiNn usay aap ke baksha Mere Baba