Zarbat Ali Ne Sajda E Khaliq Mein Khaye Hai

Wordings

English

Zarbat Ali ne sajda e Khaliq meiN khaye hai
Haider hue shaheed Khudaya duhayi hai

IkkeswiN meiN roze mein Aaqa hue shaheed
Zalim ke kaisi aah yeh zarbat lagayi hai

Duniya se deen ka Rahenuma utth raha hai aaj
Mushkilkusha se mominooN hoti judaai hai
Zarbat Ali ne sajda e Khaliq meiN khaye hai

Yeh din bhi gham mein maah e Muharram se kam nahiN
Zahera falak par ro ke yeh, deteiN duhayi haiN

Zainab ne sar ko peet kar Shabbir se kaha
Kaisi falak ne aaj yeh gardish dikhayi hai
Zarbat Ali ne sajda e Khaliq meiN khaye hai

Hum sab Yateem ho gaye, Zalim ke jaur se
Amma ke baad Baap se hoti judayi hai

Dushman ko bhi Khuda na dikhaye yeh saaniya
Iss kamsini mein Hamne jo eeza uthayi hai
Zarbat Ali ne sajda e Khaliq meiN khaye hai

Aisa shadeed waar, mussalla hai khoon se tar
Ghul hai namazioN me ke, ya Rabb duhayi hai

UnniswiN ka dil hazeeN manzar na poochiyea
Lagta hai khooN meiN Masjid e Koofa nahayi hai
Zarbat Ali ne sajda e Khaliq meiN khaye hai

Qabr e Nabi hai ranj mein, Kaaba udaas hai
Baatil hawa ne shamm e haq aisi bhujayi hai

Keejiyea qubool Ya Ali, hadiya kaneez ka
Afsar* ne Aap ki saf e maatam bichayi hai
Zarbat Ali ne sajda e Khaliq meiN khaye hai

Shares
Scroll to Top