Racha Tha Akbar E Mahroo Pay Kiya
Wordings
English
Racha Tha Akbar*-e-Mahroo Pa Kya Shabab Ka Rang
Kahan hai gulshan-e-Hasti mein is Gulaab Ka Rang
Racha Tha Akbar*-e-Mahroo Pa Kya Shabab Ka Rang
Dilon se chutt na sakeiga Abu-Turab* Ka Rang
Yeh inka rang hai Zehnon ke inquilab Ka Rang
Racha Tha Akbar*-e-Mahroo Pa Kya Shabab Ka Rang
Nabi* Ke Baad badalta raha Naqaab Ka Rang
Siyaah bakht they badla na sheikh o shaab Ka Rang
Racha Tha Akbar*-e-Mahroo Pa Kya Shabab Ka Rang
Wafa na badleigi hargiz xxxxxx Ka Rang
Xxxxx dushmaniye Aal e Bu’Turab*Ka Rang
Racha Tha Akbar*-e-Mahroo Pa Kya Shabab Ka Rang
Xxxxx xxxx xxx xxxx xxxx shuja’ate Haider*
KahaN tajalliye Kausar, kahaN sharaab ka rang
Racha Tha Akbar*-e-Mahroo Pa Kya Shabab Ka Rang
Ali* ne maslehatan kar liya tha jispa sukoot
Phir uske baad na badla kabhi Kitab ka rang
Racha Tha Akbar*-e-Mahroo Pa Kya Shabab Ka Rang
Bhatak raha tha zamana rahey zalalat meiN
KahiN tha khwab ka aalam, kahiN saraab ka rang
Racha Tha Akbar*-e-Mahroo Pa Kya Shabab Ka Rang
Dayaar e wahm meiN gahna gaya tha zehn e bashar
Hussain* aaey to nikhra xxx xxxxx xxx ka rang
Racha Tha Akbar*-e-Mahroo Pa Kya Shabab Ka Rang
Xxxx xxx xxx xxx Karb o Bala fahm o fikr ki sayqal
Phir uspa charh na saka koi inquilaab ka rang
Racha Tha Akbar*-e-Mahroo Pa Kya Shabab Ka Rang
Hussain* utthe to baatil ki naao doob gai
Xxx xxx xxx xxxxxx xxxxxx xxxx ka rang
Racha Tha Akbar*-e-Mahroo Pa Kya Shabab Ka Rang
Jur’at yeh kahti hai, Abbas* aur Qasim ki
Hai mauj mauj meiN darya ki izteraab ka rang
Racha Tha Akbar*-e-Mahroo Pa Kya Shabab Ka Rang
Habeeb* o Joan* ke zakhmoN se jitna khoon baha
Falak pa utna hi chaaya raha shabaab ka rang
Racha Tha Akbar*-e-Mahroo Pa Kya Shabab Ka Rang
Xxxxxxx xxxxxx xxxxx
Ba’waqt e Asr kuch aisa xxxx xxxxx xxxx ka rang
Racha Tha Akbar*-e-Mahroo Pa Kya Shabab Ka Rang
Xxxxxx xxxxxx xxxxxx xxxxx xxxx
Badalke rah gaya lekin rukh e Rabab* ka rang
Racha Tha Akbar*-e-Mahroo Pa Kya Shabab Ka Rang
Xxxx xxxxx xxxxxx xxxxxx
Barahna sher ko dhaNpe raha hijab ka rang
Racha Tha Akbar*-e-Mahroo Pa Kya Shabab Ka Rang
Ye kaun bol raha hai? Ali* hain ya Zainab*
Wohi zabaN, wohi lahja, wohi khitaab ka rang
Racha Tha Akbar*-e-Mahroo Pa Kya Shabab Ka Rang
Shaqi ne badh ke sahara liya Mowazzin ka
Jo deikha Hazrat e Sajjad* ke jawaab ka rang