Roz E Ashura Zamane Mein Fazan Roti Rahi

Wordings

English

Roz e Ashura zamane meiN fazaN roti rahi
Chal diye jhoole se Asghar Maamta roti rahi

Roz e Ashura zamane meiN fazaN roti rahi

KyuN na roye gham ki aazani ka manzar dekh kar
Karbala meiN har ghadi Aale Iba roti rahi
Roz e Ashura zamane meiN fazaN roti rahi

Shah ke haatoN pa rann mein qatl Asghar ho gaye
Aaj tak ussko zameen e Karbala roti rahi
Roz e Ashura zamane meiN fazaN roti rahi

Muskuraye ran meiN asghar teer kha kar iss tarah
Shah ki nazroN meiN sama kar woh ada roti rahi
Roz e Ashura zamane meiN fazaN roti rahi

Pushishe Beemar ka Amma nahi koi yahaN
Likh ke Sughra Maa ko yeh be-inthiya roti rahi
Roz e Ashura zamane meiN fazaN roti rahi

Baap Bhai aur Chacha ko yaad kar ke karb se
Fatima Sughra madine meiN sada roti rahiN
Roz e Ashura zamane meiN fazaN roti rahi

Pyaase Bachche saamne ran meiN tadap kar mar gaye
Seena e Abbas meiN ghut kar wafa roti rahi
Roz e Ashura zamane meiN fazaN roti rahi

Le na ja lillah ghode ran mein Baba Jaan ko
Der tak Baali Sakeena zere pa roti rahi
Roz e Ashura zamane meiN fazaN roti rahi

Shah ki gardan pa churi shimr e layeeN phera kiya
Aur bahen Shah ki b tarze ilteja roti rahiN
Roz e Ashura zamane meiN fazaN roti rahi

Yaad kar ke Akbar o Abbas ko baad e Hussain
Zainab e Muztar Khudaya berida roti rahiN
Roz e Ashura zamane meiN fazaN roti rahi

Hum na roye kya ghazab hai Shah e deen ke sog mein
Khaakh udati dasht mein baad e saba roti rahi
Roz e Ashura zamane meiN fazaN roti rahi

Naam le kar karbala ka royeN Nasir Lucknowi*
Gham yeh woh hai jisko Nasl e Ambiya roti rahi.
Roz e Ashura zamane meiN fazaN roti rahi

Shares
Scroll to Top