Zid Sakina Ki Barabar Hai Madine Chaliye
Wordings
English
Zid Sakina ki barabar hai Madine chaliye
Baba Ghere hue lashkar hai, Madine chaliye
Kitna purhaul hai yeh Karbobala ka jangal
Jaldi ab utth ke jahan ghar hai, Madine chaliye
Zid Sakina ki barabar hai Madine chaliye
Baba sajde mein haiN yeh unse bataye koi
Haath meiN shimr ke khanjar hai, Madine chaliye
Zid Sakina ki barabar hai Madine chaliye
Qatl din bhar miN yahaN ho gaya sara kunba
Baba eik pal hameN dubhar hai, Madine chaliye
Zid Sakina ki barabar hai Madine chaliye
Ghar jala ta hai, koi chhen raha chhadar
Fauj ki fauj sitamgar hai, Madine chaliye
Zid Sakina ki barabar hai Madine chaliye
Dil mera baith sa jata hai yahaN ai Baba
Bhai Akbar haiN na Asghar hai, Madine chaliye
Zid Sakina ki barabar hai Madine chaliye
Raat ki oos hai aur din meiN ghazab ki garmi
Ab na takiya hai na bistar hai, Madine chaliye
Zid Sakina ki barabar hai Madine chaliye
Iss tarah jakda hai rassi se gala zaalim ne
Zakhm ab halq ke oopar hai, Madine chaliye
Zid Sakina ki barabar hai Madine chaliye
Kaan zaalim ke tamachoN ne kiye haiN zakhmi
Khoon dse kurta mera tar hai, Madine chaliye
Zid Sakina ki barabar hai Madine chaliye
Dam ghuta jata hai marti hai Sakeena Baba
Qaid meiN maut ka manzar hai, Madine chaliye
Zid Sakina ki barabar hai Madine chaliye
Mere baba yeh Sakina ki sada hai Nasir*
Aap ki aal khule sar hai, Madine chaliye
Zid Sakina ki barabar hai Madine chaliye
