Sakeena Kehtin Thin Ro Kar Bohut Andhera Hai

Wordings

English

Sakeena kehtiN thiN ro kar bohut andhera hai
RahooN maiN qaid meiN kyun kar bohut andhera hai.
Sakeena kehtiN thiN ro kar bohut andhera hai

Ab apne seene pe Mujhko sulayea Baba
Yahan hai khaak ka bistar bohut andhera hai
Sakeena kehtiN thiN ro kar bohut andhera hai

Tum hi batao maiN kaise Tumhare paas aaun
Behen hai qaid meiN Asghar bohut andhera hai
Sakeena kehtiN thiN ro kar bohut andhera hai

Mile ga pani yaha kya guzar hawa kaa nahi
Kahan pe laya muqaddar bohut andhera hai
Sakeena kehtiN thiN ro kar bohut andhera hai

Bataungi maiN haiN kya kya aziyate mujhko
Gale lagaeye aa kar bohut andhera hai
Sakeena kehtiN thiN ro kar bohut andhera hai

Khuli hawa me tum araam pa gaye Bhaiya
Mujhe hai qaid mayassar bohut andhera hai
Sakeena kehtiN thiN ro kar bohut andhera hai

Phupi kahan haiN mujhe kuch nazar nahiN aata
Hai jaan Meri laboN par bohut andhera hai
Sakeena kehtiN thiN ro kar bohut andhera hai

Yeh kehte kehte Sakeena ne dum hi tod diya
Aye Ibne Saaqiye Kausar bohut andhera hai
Sakeena kehtiN thiN ro kar bohut andhera hai

Diya sukoon Sakeena ko maut ne lekin
Meri nazar meiN Munawwar* bohut andhera hai
Sakeena kehtiN thiN ro kar bohut andhera hai

Shares
Scroll to Top