Tarjuman E Seerat E Aal E Aba Zainab Hueen
Wordings
English
Tarjuman e Seerat e Aal e Aba, Zainab hueeN
Shahra e akhaam e Deen e Mustafa, Zainab hueeN
Nasir e paigham e Shah e Karbala, Zainab hueeN
Har shaheed e farz mein sikh o safa ki sharah ki
Zohar tak Abbas ne lafz e wafa ki sharah ki
Din dhala to shaana e lafz e wafa, Zainab hueeN
Rahnumaye Ahl e Tasleem o Raza, Shabbir thay
Khoon ke dariya meiN beshak nakhuda, Shabbir thay
Aag ke dariya meiN lekin nakhuda, Zainab hueeN
Deeda e ahle sitam par eik parda aa gaya
Teergi meiN baal bikhraye, andhera chha gaya
Moond leiN sooraj ne aakhen, berida Zainab hueeN
Khutba kufe meiN diya, bandhwa di ashkoN ki jhadi
Aur yuNhi shaam ke darbaar meiN majlis padhi
Haq toh yeh hai Baanie rasm e Aza, Zainab hueeN
BediyaN Zainab ne pahni, aasmaN tharra gaya
Waqt ke mathe par ghairat ka paseena aa gaya
Fathae e har manzil e sabr o riza, Zainab hueeN
Bheit di kis khushdiuli se apne dono Laal ki
Is jahaN meiN madiraana sabr o istaqlaal ki
Ibdtiha ki Haajira ne, Intehaan Zainab hueeN
Jis tarahN Shah Khaab e Payamber ki tafseer e Jaleel
Jis tarahN Abbas Armaan e Ali, yuhen Jameel
Paikar e khaaki meiN Zaherra ki dua, Zainab hueeN
