Shabbir Ke Kis Khaime Mein Kohraam Nahin Hai
Wordings
English
Shabbir ke kis khaime meiN kohraam nahiN hai
Jo khushk na ho aisa koi jaam nahin hai
Shah ism to deiN kahte haiN Abbas ke tewar
Dariya na ulat dooN to mera naam nahiN hai
Shabbir ke kis khaime meiN kohraam nahiN hai
Jo Aal e Mohammad se sikhata hai adawat
Kuch aur hai woh mazhab e Islam nahiN hai
Shabbir ke kis khaime meiN kohraam nahiN hai
Soorat hi badal di hai duaae Shah e Deen ne
Ab John se badh kar koi gulfaam nahiN hai
Shabbir ke kis khaime meiN kohraam nahiN hai
Chalke hue yeh jaam, yeh paani ki sabeeleN
Yeh kya haiN agar pyase ka paigham nahiN hai
Shabbir ke kis khaime meiN kohraam nahiN hai
Ai baad e sab jana to Baba se yeh kahna
Beemar hai Sughra, use aaraam nahin haim
Shabbir ke kis khaime meiN kohraam nahiN hai
Seene par sula leejyea, aa jayea Baba
Kahti hai Sakeena Mujhe aaraam nahiN hai
Shabbir ke kis khaime meiN kohraam nahiN hai
ZindaN mein basar karti hai is tarahN Sakeena
Rone ke siwa aur koi kaam nahiN hai
Shabbir ke kis khaime meiN kohraam nahiN hai
NaizoN se laeeN dhooNdte hain nannhi sdi turbat
Besheer ko Turbat meiN bhi aaraam nahiN hai
Shabbir ke kis khaime meiN kohraam nahiN hai
Taqdeer meiN sab kahan Shabbir ka roona
Kya hai Gham e Shabbir gar inaam nahiN hai
Shabbir ke kis khaime meiN kohraam nahiN hai
Qasim par hai nauha, kahin Akbar ka hai maatam
RaNdoN meiN batao kahaN kohraam nahiN hai
Shabbir ke kis khaime meiN kohraam nahiN hai
Jab dekhiyea hai vird e zabaN kissa e Sarvar
Mahir* ko gham e Sheh ke siwa kaam nahiN hai