Huey Paida To Surat Dekhne Har Shah Ko Shaab Aaya
Wordings
English
Huey paida to Surat deikhne har shah khushaab aaya
Jawani inpe kya aaye Madine ka shabaab aaya
Magar jab Karbala ke dasht meiN yeh Mahataab aaya
Falak qabil mitane ke na thi tasweer Akbar ki
Ali ka naam, Sin Zahera ka aur Soorat Payambar ki
Tujhe to yaad hi hoNge who lahrate huey geesu
Giza mein Maa ki shafqat yaad dilwate huey geesu
Kaleje meiN sina abrooh se bal khate huey geesu
Falak qabil mitane ke na thi tasweer Akbar ki
Ali ka naam, Sin Zahera ka aur Soorat Payambar ki
Suna hai jaan ke seene pe barchi jung meiN khaye
Yeh manzar le gaya Shabbir ki aakhoN ki beenai
Taajub kya agar khaimeN se Shahzaadi nikal aaye
Falak qabil mitane ke na thi tasweer Akbar ki
Ali ka naam, Sin Zahera ka aur Soorat Payambar ki
Utha kar Laash laya Fatima ka Maharoo kyunkar
Khuda ka hai soonghi gaye zulfooN ki bu kyunkar
Na jaane Baap ne pochcha tha chhere se lahoo kyunkar
Falak qabil mitane ke na thi tasweer Akbar ki
Ali ka naam, Sin Zahera ka aur Soorat Payambar ki
