Talab Ki Manzilen Maqsoos Karbala Tak Hai
Wordings
English
Talab ki manzileN maqsood Karbala tak Hai
Phir uske baad nazar Arsh e Kibriya tak hai
Wohi amal, wohi fikr o nazar, wohi andaaz
Nabi ke khoon ka asar Shaah e Nainawa tak hai
Khiyaas kije wo kya ho ga har amal jiska
BalandiyoN ke tasavvur ki inteha tak hai
Rasool Payke Khuda haiN, Hussain payke Rasool
Khuda se baat chali thi, Khuda-Numa tak hai
Woh dekh surkhiye afsana e urooj e Bashar
Lakheer khoon ki Kaabe se Karbala tak hai
Woh log Daawar e maahol ke muqabil haiN
Rasaayi jinki faqat khanjar e jafa tak hai
Na jaane kitne zamanoN ki manziloN pa muheet
Safar Madine se Sehra e Karbala tak hai
RukeNge Baap ke aaNsu na laashe Akbar par
Yeh zabt e giriyan faqat fursate wagha tak hai
Hussain dhaamp lo daaman se gardane Asghar
Ke ab to ashk fishan chashme Hurmala tak hai
Fishaar de na girah ko ke is rasan may shaqi
Bandha hua kisi masoom ka gala tak hai
Yazeed maal e ghanimat dikha na logoN ko
Ke isme Zainab e Mazloom ki rida tak hai
Nuqooshe paaye Mohammad talaash kar Izzat*
Ke haddhe fiqr musafir ki rehnuma tak hai
