Shauq Arz E Karbala Ka Mera Aab O Gil Mein Hai
Wordings
English
Shauq Arz e Karbala ka mera aab o gil meiN hai
Jeete ji jannat may pahunchun yeh tamanna dil meiN hai
Daaghe matam se hai raunaq mehfileN Shabbir ki
Jaisi ye mehfil hai waisi shamma bhi mehfil meiN hai
Bhar ke pani nehr se Abbas pyase hi gaye
Ye unhi honton ki khushki aaj tak saahil meiN hai
Bhej di naizon may Akbar se pisar ko khud Hussain
Ummat e Jad ki mohabbat hai ke barchi dil meiN hai
Nikli padti hai ke khaime meiN nahi padta karaar
Gardan e Asghar meiN nawak zakhm Maa ke dil meiN hai
Aag hai khaimon ke andar aur baahar ahle naar
Pardadarane Haram ki jaan kis mushkil meiN hai
Khushk pyase ka gala aur kund khanjar hai ghazab
Dil yeh kaahe ko hai pathar seena e qaatil meiN hai
Jamma hai ahle jina baabe jina par waqte asr
Intezar eik Shamme Kushta ka bhari mehfil meiN hai
