Yeh Kehti Thi Zindan Mein Ro Kar Sakeena

Wordings

English

Yeh kehti thi zindaN mein ro kar Sakeena
Mujhe chhod kar chal base Mere Baba
Kisi tarah dil ko nahin chain aata,
Mujhe chhod kar chal base Mere Baba

Bhara ghar mera lut gaya Karbala meiN
Hoyi zulm ki inteha Karbala meiN
Gala shimr ne Mere Baba ka kata,
Mujhe chhod kar chal base Mere Baba

Kahan Tak uthaoN sitam zalimo ke
Kahan Tak layeenoN ke khaoN tamache
Tasalli bhi koi nahi Dene wala,
Mujhe chhod kar chal base Mere Baba

Shaheede jafa ho gaye Bhai Akbar
Chacha bhi na dariya se aaye palat kar
Mera piyas se phuk raha hai kaleja,
Mujhe chhod kar chal base Mere Baba

Hai sharmindagi mujhko apne Chacha se
Gile kyun kiye Maine tashnalabi ke
Rahe ga yahi marte dam Mujhko sadma,
Mujhe chhod kar chal base Mere Baba

Aseeri me thi har ghadi eik Qayamat
Mujhe saans lene meiN hoti thi dikkat
Gala bhi Mera is tarah se bandha tha,
Mujhe chhod kar chal base Mere Baba

Nahaya khud apne lahoon me Baradar
Sidhara jahaN se Mera Pyara Asghar
Khuda jane kyun reh gayi hoon MaiN zinda,
Mujhe chhod kar chal base Mere Baba

Ruki dhadkane dil ki aur saaNs tooti
Munawwar* Sakeena na zindaN se chooti
Raha marte marte yahi lab par noha,
Mujhe chhod kar chal base Mere Baba

Shares
Scroll to Top