Hussain Sabr Ke Jis Rah Guzar Se Guzra Hai Kalaam

Wordings

English

Hussain sabr ki jis rah guzar se guzra Hai
Nazar jhukaye zamana udhar se guzra hai
Hussain sabr ki jis rah guzar se guzra Hai

Wafa ke teigh, shahat ka taaj, khooN ka libaas
Shaheed e naaz, bade kar o par se guzra hai
Hussain sabr ki jis rah guzar se guzra Hai

Atash Hussain ki le kar gaya hai Kausar par
Woh aab e teigh ka toofan jo sar se guzra hai
Hussain sabr ki jis rah guzar se guzra Hai

Ghubaar shaam ko chod aaya hai bohut peeche
Who qafila jo maqaam e saher se guzra hai
Hussain sabr ki jis rah guzar se guzra Hai

Yaqeen hai paye ga Rumaal e Fatema meiN sukooN
Woh ashk e gham jo mere chashm e tar sa guzra hai

Shabeeb* poochoo na tum us khayaal ka rutba
Jo nauha ban ke lab e nauhagar se guzra hai
Hussain sabr ki jis rah guzar se guzra Hai

Shares
Scroll to Top