Ammu Ne Akela Chhod Diya

Wordings

English

Har dam tha Sakina ka nauha, Ammu ne akela chod diya
Chut’te hi Madina zulm hua, Ammu ne akela chod diya

Bachpan se abhi tak saath rahe, darya se nahi lekin palte
Jeene ka nahi ab koi maza, Ammu ne akela chod diya
Har dam tha Sakina ka nauha, Ammu ne akela chod diya

Ab kaun pilayega pani, hai kaun jo layega pani
Zainab se musalsal tha shikwa, Ammu ne akela chod diya
Har dam tha Sakina ka nauha, Ammu ne akela chod diya

hum pyaas jo apni seh jaate, kuch aur wo zinda reh jaate
pani ka taqaaza aisa kiya, Ammu ne akela chod diya
Har dam tha Sakina ka nauha, Ammu ne akela chod diya

jab godh may zainab ki baithi, sajjad ke jab seene se lagi
ek saans may sau sau baar kaha, Ammu ne akela chod diya
Har dam tha Sakina ka nauha, Ammu ne akela chod diya

HaathoN ki lakeerein mitni lagi, ab acche Mere haalaat nahi
Kismat ne diya aisa tohfa, Ammu ne akela chod diya
Har dam tha Sakina ka nauha, Ammu ne akela chod diya

Shabbir ke ghar bhar ki pyari, zindaN e sitam may jab pahunchi
Jab dard utha moo se nikla, Ammu ne akela chod diya
Har dam tha Sakina ka nauha, Ammu ne akela chod diya

ZindaN e musibat meiN Ishrat*, bigdi jo Sakina ki haalat
Yeh kehte huwe dam tod diya, Ammu ne akela chod diya
Har dam tha Sakina ka nauha, Ammu ne akela chod diya

Shares
Scroll to Top