Yeh Sakina Ne Kaha Mujhko Bula Lein Baba

Wordings

English

Yeh Sakina ne kaha, Mujhko bula leiN Baba
Neend aa jaye gi, seene pe sula leiN Baba
Yeh Sakina ne kaha, Mujhko bula leiN Baba

Haye ab koi nahiN moonis o yaawar Apna
Aa ke is Qaid e musibat se chuda leiN Baba
Yeh Sakina ne kaha, Mujhko bula leiN Baba

Dil Mera kahta hai, mar jaooNgi Main ghut ghut kar
Ddukh uthaye nahi jaate hain, Bacha leiN Baba
Yeh Sakina ne kaha, Mujhko bula leiN Baba

Ab chal bhi nahiN jaata hai, ghamoN mein ghir kar
Girne wali hooN, Mujhe aa ke sdamhaleN Baba
Yeh Sakina ne kaha, Mujhko bula leiN Baba

Maut ka khauf nahin, sirf tamanna hai yahi
Bas yeh hasrat hai, Gale apne laga leiN Baba
Yeh Sakina ne kaha, Mujhko bula leiN Baba

Aap shayad hain khafa mujhse, yeh aata hai khayaal
Kya kareN, Aap ko kis tarhaN mana leiN Baba
Yeh Sakina ne kaha, Mujhko bula leiN Baba

Aap aaye na koi Aap ka Qasid aaya
Yeh to mumkin hai, Mujhe aap bula Lein baba
Yeh Sakina ne kaha, Mujhko bula leiN Baba

Quaid-khane se Munnawar* yeh sada aati thi
Doobta jaate hai dil, kaise sambhaleN Baba
Yeh Sakina ne kaha, Mujhko bula leiN Baba

Shares
Scroll to Top