Kata Jo Din To Jafa Fauj Ki Tamaam Hui
Wordings
English
Kata jo din to jafa fauj ki tamaam hui
Charagh bujh gaya Zaherra ka jab to shaam hui
Shaheed ho gaye jangal meiN sar ko katwa ke
Khayaal aaya nishaN na fikr e naam hui
Sada yeh detiN thiN Maa apni goad phaliye
Ab aao ai Ali Asghar ke rann mein Shaam hui
Sipah roke rahi qatlgah ka rasta
Bahen na Bhai se maqtal meiN ham-kalaam hui
Sina mein Maa ne bandhe dekhe gesoo e Akbar
Jawan ke biyah ki yuh aarzoo tamaam hui
Bhari jo raandoN ne aaheN to aandhiyan utthi
Khul jo baal haram ke to ran me shaam hui
Daba ke haat se seena qaza ki Akbar ne
Khatak ani ki unhe maut ka payam hui
Na thay charagh bhi bewarisoN ke baali par
Udaasi aur badhi dasht meiN jo shaam hui
Kata jo din to jafa fauj ki tamaam hui
Charagh bujh gaya Zaherra ka jab to shaam hui
