Yeh Aseeri Ki Hawa Kaise Chali Hai – Abbas
Wordings
English
Yeh Aseeri ki hawa kaise chali hai Abbas
Aaj Zainab sar-e-darbaar khadi hai, Abbas
Yeh Aseeri ki hawa kaise chali hai Abbas
Jin ke waali bhi nahiN, Goad ke bachche bhi nahin
Yeh Bahen saath unhe le ke chali hai, Abbas
Yeh Aseeri ki hawa kaise chali hai Abbas
Ab bhala aur ghareeb-ul-watani kya ho gi
Sar par chhadar nahiN aur dhoop kadi hai, Abbas
Yeh Aseeri ki hawa kaise chali hai Abbas
Bujh gaye Shham-e-gareebaN ke woh sholey lekin
Dil e Zainab meiN abhi aag lagi hai, Abbas
Yeh Aseeri ki hawa kaise chali hai Abbas
Eik Beemar Bhatija hai faqat saath mere
Uske pairoN mein bhi zanjeer padi hai, Abbas
Yeh Aseeri ki hawa kaise chali hai Abbas
Loag sadqe ki khajooreN Meri jaanib phayNke
Kya yehi martaba e Aal e Nabi hai, Abbas
Yeh Aseeri ki hawa kaise chali hai Abbas
Lab e Sarwar par chadi maar raha hai zaalim
Aur hasrat se Bahen dekh rahi hai, Abbas
Yeh Aseeri ki hawa kaise chali hai Abbas
Baith kar padhti hoon ratoon ko namazein, Bhaiyya
Ab to meri bhi kamar toot gayi hai, Abbas
Yeh Aseeri ki hawa kaise chali hai Abbas
Yeh aseeri hai faqat maqsad e Shah ki khatir
Warna Zainab tere saaNche mein dhali hai, Abbas
Yeh Aseeri ki hawa kaise chali hai Abbas
Shaksiyat Zainab e Muztar ki bayan kya ho Bilal*
Kabhi Zaherra, Kabhi Sarwar to kabhi hai Abbas
Yeh Aseeri ki hawa kaise chali hai Abbas
