Asghar Nannhe Baalna – Mukh Sooraj Chandar Gaalna

Wordings

English

Asghar Nannhe Baalna, Mukh sooraj chandar gaalna
Bano dole paalna, Jhoolo more laalna
Asghar Nannhe Baalna, Mukh sooraj chandar gaalna

AsgharTumahare byah ka joda silaooNgi
in gore gore haatoN mein Mehdi lagaooNgi
Nazuk nazuk pooriyaN, lo thamo resham dooriyaN
Amma de de looriyaN, Jhoolo more laalna
Asghar Nannhe Baalna, Mukh sooraj chandar gaalna
Bano dole paalna, Jhoolo more laalna

Dekho na chasm-e- yaas se, Mujh natawaan ko
Sookhe hue laboN par, na phero zabaan ko
Pyaas se jo behaal ho, par Sabir ke Laal ho
Paighambar ki aal ho, Jhoolo more laalna
Asghar Nannhe Baalna, Mukh sooraj chandar gaalna
Bano dole paalna, Jhoolo more laalna

Bechain Tum ho jhoole mein, ai mere gul e zaar
Maqtal ke simt haat uthate ho baar baar
Chhut kar Mujh Dilgeer se, khelo ge shamsheer se
Ya khelo ge teer se, Jhoolo more laalna
Asghar Nannhe Baalna, Mukh sooraj chandar gaalna
Bano dole paalna, Jhoolo more laalna

Kamsin ho par Imaam e Zamana ke ho pisar
Tum chaho to ba-hukm-e-Khuda, Para e jigar
Nannhe sa muh khol do, batooN ka ras ghol do
Ya khelo ge teer se, Jhoolo more laalna
Asghar Nannhe Baalna, Mukh sooraj chandar gaalna
Bano dole paalna, Jhoolo more laalna

Tum tashnalab ho dekh ke, Asghar Tumhara haal
Hai Laal dam ba khud hai khadiN Fatima ki Aal
KhadiN haiN sab BechariyaN, Maa BaheneN sab waariyaN
Laal bharo kikkaariyaN, Jhoolo more laalna
Asghar Nannhe Baalna, Mukh sooraj chandar gaalna
Bano dole paalna, Jhoolo more laalna

Halat Tumhari dekh kar, ai Mere Mahlaqa
Mumkin hai paani deiN TumheN yeh fauj e ashkiya
Paani peene Furaath par, jaao ge Baap ke haat par
Ho na chal kahiN ghaat par, Jhoolo more laalna
Asghar Nannhe Baalna, Mukh sooraj chandar gaalna
Bano dole paalna, Jhoolo more laalna

Chhah maah ki hai umr par, ai Mere Mahataab
Tum itne tashnalab ho ke jiska nahiN hisaab
Jaan-e-Dil Shabbir ho, Dard ki eik tasweer ho
JawaaN nahiN Besheer ho, Jhoolo more laalna
Asghar Nannhe Baalna, Mukh sooraj chandar gaalna
Bano dole paalna, Jhoolo more laalna

Ai Laal aaj dasht mein Tashnajigar ho tum
Kin aafatoN me aye Mere Rashk e Qamar ho tum
Maa se na mooh ko modna, Dil ko unke na todna
Saath na unka chhodna, Jhoolo more laalna
Asghar Nannhe Baalna, Mukh sooraj chandar gaalna
Bano dole paalna, Jhoolo more laalna

Shares
Scroll to Top