Saher Ka Waqt Bhi Haidar Ke Gham Mein Rota Hai

Wordings

English

Saher ka waqt bhi Haider ke gham meiN rota hai
Falak bhi daman e farsh e aza bhigota hai
Saher ka waqt bhi Haider ke gham meiN rota hai

Chale haiN Masjade Kufa Ali ba waqt e Namaaz
Stara e Saheri bhi ghuroob hota hai
Saher ka waqt bhi Haider ke gham meiN rota hai

Jaga ke Shah yeh kahteN hain ibne muljim se
Saher ka waqt hai tu is tarah se soota hai
Saher ka waqt bhi Haider ke gham meiN rota hai

Namaaz ke liyea utth aye laeen yeh Masjid hai
Ki tera waqt bhi khud sharmshaar hota hai
Saher ka waqt bhi Haider ke gham meiN rota hai

Lagi hai Farq e Mutahhar par zarbat e kaari
Lahu ke aasooNoN se farsh e Kaba rota hai
Saher ka waqt bhi Haider ke gham meiN rota hai

Falak pe jiske liye aaftaab khilta tha
Woh Meher e Auze Imamat guroob hota hai
Saher ka waqt bhi Haider ke gham meiN rota hai

Guroob Maah e Imammat ko laakhoN din beete
Zamana aaj bhi zaar o qataar rota hai
Saher ka waqt bhi Haider ke gham meiN rota hai

Khabar yateemoN ki ab kaun lega aye Nasir*
Unhi sadaoN se girya buland hota hai
Saher ka waqt bhi Haider ke gham meiN rota hai

Shares
Scroll to Top