Noke Naiza Par Therta Nahin Abbas Ka Sar
Wordings
English
Noke naiza par teherta nahi Abbas ka sar
Eik wafadaar ki ghairat ka yeh lagta hai asar
Dekh kar Zainab e Dilgeer ka phhata hai jigar
Noke naiza par teherta nahi Abbas ka sar
Eik wafadaar ki ghairat ka yeh lagta hai asar
Aakh Zainab se milaye to milaye kaise
Apna mooh Baali Sakeena ko dikhaye kaise
Darr hai Kulsoom ki chhere pe na pad jaye nazar
Noke naiza par teherta nahi Abbas ka sar
Eik wafadaar ki ghairat ka yeh lagta hai asar
Ek nazar dekh le Abbas Mere Bhai Mujhe
Warna maare ga yeh ehsaas Mere Bhai Mujhe
Tune dekha bhi nahiN Mujhko, main hooN nange-sar
Noke naiza par teherta nahi Abbas ka sar
Eik wafadaar ki ghairat ka yeh lagta hai asar
Mujhko maloom hai Bhaiyya kje wafadaar hoi tu
Karbala wale ShaheedoN ka Alamdar hai tu
Aaj bhi Tere bharose pe maiN karti hooN safar
Noke naiza par teherta nahi Abbas ka sar
Eik wafadaar ki ghairat ka yeh lagta hai asar
Jaanti hoon ke Sakeena se Tu sharminda Hai
Aur Tere khooN meiN dooba hua mashkiza hai
Tere aakhon mein hai PyasooN ki tadap ka manzar
Noke naiza par teherta nahi Abbas ka sar
Eik wafadaar ki ghairat ka yeh lagta hai asar
Yeh alag baat ke Paband e Rasan hooN Bhaiyya
Faqr hai Mujhko ke Main Tere Bahen huN Bhaiyya
Aaj bhi fauj e yazeedi ko hai is baat ka dar
Noke naiza par teherta nahi Abbas ka sar
Eik wafadaar ki ghairat ka yeh lagta hai asar
Tere hote hua dekha na kise ne Mujhko
Aut Tere baad meiN maara hai sabhi ne Mujhko
Hai dikhlaooN Main kodooN ke nisha ab kyuNkar
Noke naiza par teherta nahi Abbas ka sar
Eik wafadaar ki ghairat ka yeh lagta hai asar
Jisne Aaqa hi kaha, Bhai ko Bhai na kaha
Uska Sar kaise Sar e Sheh ke barabar aata
Sach to yeh hai ke yeh hai Maa ki nasiyat ka asar
Noke naiza par teherta nahi Abbas ka sar
Eik wafadaar ki ghairat ka yeh lagta hai asar
Haye pardes meiN beghar nazar aaye Zainab
Aakh khole to khule sar nazar aaye Zainab
Band aakhoN mein chuphaye hai bala ka manzar
Noke naiza par teherta nahi Abbas ka sar
Eik wafadaar ki ghairat ka yeh lagta hai asar
Jiske ShanoN par tha Zainab ko bharosa Asif*
Bekafan uska tarai par hai Laasha Asif*
Kaise tahreer karoon, soach ke phhata hai jigar