Aal E Ahmed Ki Khooni Kahani – Lo Suno Karbala Ki Zubani

Poet Unknown
Anjuman NIL

Wordings

English

Aal e Ahmed ki khooni kahani, Lo suno Karbala ki zubani
Kaise afsurdai yeh chandni hai, Chhayi Mohurram par murzami hai

Eik Bibi hai maqtal mein phirti, Aur eik eik laashe pa girti
Iss tarahN dil kisi ka na toote, Apne PyarooN se koi na chhote

Reit par itne laashe padeN hain, Kaise Moti kahan par padeN hain
Jalte khaimoN meiN bachch ghire hain, Kaise inke muqqadar phireN haiN

Kaaf le kar koi yuhN khada hai, Eihk Beemaar tanha pada hai
YuN Sakeena ke gauhar lute haiN, Door dariya pa Shane kate haiN

Silsila imthean ka hai jaari, Bibi Zainab tumhari hai baari
Nannhe bachchoN ko loori sunaoo, Khali jhoole ki dori hilao

Dekho, Akbar pe girya na hoona, Misle Maadar PareshaN na hona
Bhai, Bhai na yuN tum pukaro, Shaam ke simth ab tum sidharo

Shares
Scroll to Top