Aey Maarkaey Quwatey Islam Ke Jauhar

Wordings

English

Aey Maarkaey Quwatey Islam Ke Jauhar
Chhe maah ki muddat mein Qayamat ke barabar
Nannhe se Mujahid, Ali Asghar, Ali Asghar!

Maqsad tha wiladat ka, faqat kaar e Shahadat
Yeh baat hui aur kisi ko na mayyassar
Yakta hai teri khoon meiN doobi hui tasweer
Tareekh dikhati nahi aisa koi manzar
Nannhe se Mujahid, Ali Asghar, Ali Asghar!

Baba ke sab andaaz hain, Dada ke tareeqe
Neend aa gayi reeti par, na takiya hai na bistar
Uljhe hua baloon pa fida, shaam e shab e Gham
Doobi hui nafso pa sitaroN ki nichawar
Nannhe se Mujahid, Ali Asghar, Ali Asghar!

Dhalki hui gardan pe Yadhullah ke bose
Sookhe huey honton pa tasadduq lab e Kausar
Chitwan mein chipaye hue Akbar ki jawani
Mutthi meiN dabaye hue Sajjad ke jahur
Nannhe se Mujahid, Ali Asghar, Ali Asghar!

Aakhoon meiN chalakta hua Masoon tabassum
Gardan se tapakta hua khoon Khoon e dil e Madar
Tareekh meiN hai sab tere Bachpan ka saleeka
Tu maut ki aagosh meiN aaya tha humak kar
Nannhe se Mujahid, Ali Asghar, Ali Asghar!

Jis waqt hui mohar tere zakhm e gulu ki
Poora hua Shabbir ke eesar ka daftar
Aaram se so ai Shab e Ashoor ke jage
Lori tujhe deta hai tere Najm* e Sukhanwar
Nannhe se Mujahid, Ali Asghar, Ali Asghar!

Shares
Scroll to Top