Abbas Paani Lao – Abbas Paani Lao –

Wordings

English

Zainab yeh ro ke boliN, Bhaiyya na dil dukhao
Kya der ka sabab hai ye to hame batao
Mashkeeza bhar ke jaldi darya se laut aao
Bachchi ki tashnagi ko tum aake khud bujhao
Abbas pani lao, Abbas pani lao

Woh Ghamzada yaqeenan yaadoN may kho gayi hai
Baba ko rote rote khud thak ke sogayi hai
Ya tashnalab Sakina behosh ho gayi hai
Pani ka deke cheeNta Tum hi usay jagao
Abbas pani lao, Abbas pani lao

Haton may khaali kuze bachche liye hue haiN
Girde Sakina dekho halqa kiye hue haiN
Bachche na jaane kab ka pani piye hue haiN
Bin aab mar na jaaye pani inhe pilao
Abbas pani lao, Abbas pani lao

KaanoN meiN al-atash ki awaaz aa rahi hai
Aur uspe fauje aada ye zulm dha rahi hai
Unko dikha dikha kar pani baha raha hai
Bachche hai Sheh ke pyase aada ko ye batao
Abbas pani lao, Abbas pani lao

Iss bekasi pe haaye aata hai mujko rona
Purhaul hai andhera aur khaak ka bichona
Seene pe soni wali kya jaane aise sona
Pyaasi hai mustarib hai aakar usay sulao
Abbas pani lao, Abbas pani lao

Ulfat ki aag dil may payham lagi hui hai
Rouza Tumhara dekhe yeh hasrate dili hai
Zaair bane tumhara ye khahwishe Zaki* hai
Aankhon ki tashnagi ko tum deed se bujhao
Abbas pani lao, Abbas pani lao

Notes:

Ali Zia Sahib mostly recited with Ghamkhwar e Abbas

Shares
Scroll to Top