Nannhe Mujahid Ran Mei Ja Kar – Tum Nahin Aaye
Wordings
English
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye
Shah to aaye Jaan e Maadar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye
Kab se khadi hooN khaime ke dar par
AakhoN meiN le kae ashkoN ke sagar
Pesh karooN aa jao jo Asghar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye
Tumne isharoN me yeh kaha tha
De do raza maqtal ka khudara
Kar ke fatha MaiN aaon ga lashkar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye
Pyaas se rota hai yehi jaana
Zidd ko koi bhi na pehchana
De di raza woh bhi tumhe Dilbar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye
Haste hue khaimoN se sidhare
Pesh e nazar haiN saare nazare
Ho gaya kya maidan mein jaa kar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar, Tum nahiN aaye
Teer laga hai kya gardan par
Jo nahin dekha Maa ko palat kar
Kaun si majboori thi Asghar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar, Tum nahiN aaye
Qatl huwe jo zor o jafa se
Shaah utha kar laaye wo Laashe
AateN haiN tanha ran se Sarwar, Tum nahi aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar, Tum nahiN aaye
Kis ko sunaooN gi Main kahani
Yeh bhi na soocha Yousuf e Saani
Maa se kati gi raat yeh kyuNkar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye
Khaali jo pahloo paooN gi Beta
Gham se phate ga mera kaleja
Raat bhi guzre gi ro ro kar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye
Raat andheri dasht e bayabaN
Dar nahiN jaana rann meiN meri jaan
Kaise raho ge Maa se bichad ke, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye
Kaise jiye gi Baali Sakeena
Hai gham e furkat se woh Hazeena
Roti hai ab tak yaad me Khahar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye
Itna ishara Mujhko bata do
Kiske qareeN ai Maahe e Laqa ho
Dhoondene aa jaye gi Maadar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye
Tere bina Main chhain na paooN
Jhoola hai khali kisko jhulaooN
Kisko sulaooN looriyaN de kar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye
CharoN taraf maidan meiN laashe
Karti hai shab aa ke yeh ishare
Kitna vehshat-naakh hai manzar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye
Maa se zyaada kaun hai pyaara
Kisne diya hai aisa sahara
Bhool gaye aagosh e Madar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye
Baad tumhare yeh hua Asghar
Chal gaya halq e Shaah pa khanjar
Jal gaye khaime chhin gayi chadar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar, Tum nahiN aaye
Kab se huwe khaimo se sidhaare
Pesh e nazar haNi saare nazaare
Kho gaye kya maidan meiN jaakar, Tum nahi aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar, Tum nahiN aaye
Kisne Anees* e gham ko pukara
Sunwaoo awaaz dubaara
Nauha yehi tha Banoo ke lab par, tum nahiM aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye
Shah to aaye Jaan e Maadar, Tum nahiN aaye
Ali Zia Sahib mostly recited with Ghamkhwar e Abbas
