Pyaasa Raha Jaan E Nabi – Aye Waye Nahre Alqama

Wordings

English

Pyaasa raha Jaan e Nabi, aey waey Nahre Alqama
UtthtiN rahi mauje teri, aey waey Nahre Alqama

Woh khushk lab, sookha gala, Sher e Khuda ki Aal ka
Woh tere hootoN par tarti, aey waey Nahre Alqama

Kuch tum ne khidmat hi na ki, aey waey Nahre Alqama
ToofaN utthana tha tujhe, Ya sookh jana tha tujhe

Eik mashk paani le liye, Abbas ke shaane katte
Nadi lahoo ki bah gayi, aey waey Nahre Alqama

Doobe lahu mein yakqalam, kya kya ghiza laane Haram
Dekhi yeh kashti doobti, aey waey Nahre Alqama

Eik chardar e aabe rawaN, oodhe hue tu NauhakhwaN
Zainab ki yeh be-chadari, aey waey Nahre Alqama

Qabze meiN tere aab ho, aur pyaas se betaab ho
Sheh ke chaman ki har kali, aey waey Nahre Alqama

Ashq e Sakina bah gaye, muh dekhte sab rah gaye
Tu aur teri daryadili, aey waey Nahre Alqama

Yeh kaun sa dastoor tha, Mehmaan kitna door tha
Kya paoN meiN zanjeer thi, aey waey Nahre Alqama

Khaim rahe Shabbir ka, yuh dhoop mein jalta hua
Saahil pa ho fauj e shaqi, aey waey Nahre Alqama

Hasrat ki eik tahteer thi, khud tere dil par teer thi
Jo mauj utthi aiso utthi, aey waey Nahre Alqama

Aaata hai usko yaad jab, who KarwaaN e Tashnalab
Hai Najm* ka nauha yehi, aey waey Nahre Alqama

Shares
Scroll to Top