Yeh Waqia Hai Moharram Ki Gyara Ka Ba-Khuda

Wordings

English

Yeh waqia hai Moharram ki gyara ka ba khuda
Baghair gor o kafan thay Shaheed e Karbobala
Haram tamam thay chote bade rasan basta
Na sar pa makhna-o-chadar na koi daad rasa
Udoo ne Aal e Nabi ko ye aake hukm diya
Sawaar naaqon pe ho jao jaana hai koofa

Woh naage aaye amaari kajawe jin pa na thay
Ba jabr Aal e Mohamed sawar unpe huwe
Kahoon mai kis tarha ke haat pusht par thay bandhe
Sagheer bache thay maa’on ki chatiyon se lagay
Layeen bhagate thay naaqo ko is shagawat se
Na rakh sakay kise bache ko maa hifazat se

Dhuan tha khafila bacha jo koi girta tha
woh dekti thi usay aur woh maa ko takta tha
Jo bacha girta tha naaqge se dab ke marta tha
Sadaye Ya Ali ka ek shor uthta tha
Udoo ye haadsa hone par bhi na rukte thay
Bajaye rukne woh aur tez chalte thay

Sakina gir gayi naage se ek shor utha
Sare Hussain maye naize ke zameen may gada
Kaha ye shimr ne Abid se jaake poocho zara
Sar ab ye kyun nahi chalta hai kya hua jo ruka
Yeh pooch kar mujhe batlao door jaana hai
Lagi jo der to phir tum ho taziyana hai

Sambhale hatkadi aur bediyan bade Sajjad
Kareebe sar hue Shabbir ke to ki faryad
Nida ye sar ne ba-ejaaz di ke sun rudaad
Sakina gir gayi naage se ban may Zainulliba
Meri sakina ko jab tak na koi layega
Sare Hussain yahan se na aage jayega

Chali talaash ko jangal may Zainab e muztar
Sadayein deti thi kis ja ho ay meri Dilbar
Yeh ittefak se ek samt pad gayi jo nazar
Yeh dekha baithi hai ek Bibi yun jhukaye sar
Siyaah posh khule sar hai aur roti hai
Sakina godh may unki hai aur soti hai

Qareeb jaake ye Zainab ne Unse farmaya
Tumhara shukriya ay Bibi jo taras khaaya
Iss ek neki se parwana e irum paaya
Magar ay Mohsina chehra na apna dikhlaya
Mai roz e hashr jo dekhun to tum ko pehchanu
Jo maango iske sile may wo tum ko dilwadun

Yeh sunke sabr ka paymana Bibi ka chalka
Hata ke baalon ko rukh se ba dard-o-yaas kaha
Mai teri Maa hooN tu pehchan mujhko maahelakha
Aye meri Zainab e Muztar salaam le Maa ka
Mala hai chehre pe apne Hussain ka ye lahoo
Tu soong le tere Bhai ki is may hai khusboo

Notes:

Ali Zia Sahib most frequently recited with Ghamkhwar e Abbas

Shares
Scroll to Top