Nauha for Second Muharram


doosri maah’e Muharram ki hai roaeiN momeneeN

दूसरी माहे मर्होरम की है रोएँ मोमिनीयं

PLEASE LIKE, COMMENT, SHARE AND SUBSCRIBE TO THE OLD NOHAY CHANNEL FOR NOHAY WITH WORDINGS

doosri maah’e Muharram ki hai roaeiN momeneeN

doosri maah’e Muharram ki hai roaeiN momeneeN
Karbala mein aa chuke haiN maalike khuld’e BareeN


bast o hashtum ko Rajab ki jab chale Sultaane deeN 
auur aamaada hui chalne pa beemaar o hazeeN


shAh ne farmaaya ke beemaari meiN kyuNkar saath looN 
Fatima Sughra abhi kuch roaz tUm thahro yaheeN


jab kisi jaa par hamaara hoga aey beiti qayaam 
bheij kar Akbar ko bulwa leiNge hUm tumko waheeN


shAh se Sughra ne kaha achcha agar jaat’e haiN aap 
rahne deejey meire choate bhaai ko baaba yaheeN


jaan se apni ziyaada hai mujhe Asghar azeez 
iski furqat meiN maiN mAr jaauNgi beemaar o hazeeN


baad isske goad meiN Sughra ne Asghar ko liya 
aur kaha roakar sidhaareiN ab shAh’e dunya o deeN


jab bahot israar Asghar ke liye ShAh ne kiya 
tab yeh baateiN yaas o hasrat se bhari Sughra ne keeN


khud se gar Asghar chala jaaey kisi ki goad meiN 
to khushi se saath le jaaweiN Imam’e istaqeeN


sUn ke yeh phailaaey sAb ne haath Asghar ki taraf 
par na utra goad se woh kaukab’e charkh’e bareeN


nizd’e Asghar usske baad aaey Hussain Ibne Ali 
aur kaha yeh kaan meiN Asghar ke kyuN aey mah jabeeN


bakhshishe ummat ka kya tumko nahiN mutlaq khayaal 
ab chalo Karbo bala ko najm’e Khatmul MursaleeN


sun ke yeh aawaaz ShAh ki goad meiN aaya woh tifl 
algharaz raahi huEy waaN se sipeh saalaar’e deeN


woh safar ahle Haram ka, aur woh bachchoN ka saath 
dhoop ki hiddat, hawaaeiN garm aur tapti zameeN


raaste ki sakhtiyaaN saht’e huEy waarid huEy 
doosri maah’e aza ko Karbala meiN ShAh’e DeeN


Fikr* ko ab Hind meiN rahna bahot dushwaar hai 
apne rauz’e par bula lo ya imam’e MuttaqeeN


दूसरी माहे मर्होरम की है रोएँ मोमिनीयं

दूसरी माहे मर्होरम की है रोएँ मोमिनीयं
कर्बला में आ चुके हैं मालिके ख़ुल्दे बरीन


बिस्तो हशतुम को रजब की जब चले सुल्ताने दीन
और आबादा हुयी चलने या बीमारो हज़ी


शह ने फरमाया के बीमारी में क्योंकर साथ लूँ
फात्मा सुग़रा अभी कुछ रोज़ तुम ठहरो यहीं


जब किसी जा पर हमारा होगा ऐ बेटी क़याम
भेजकर अकबर को बुलवा लेंगे हम तुमको वहीं


शह से सुग़रा ने कहा अच्छा अगर जाते हैं आप
रहने दीजिए मेरे छोटे भाई को बाबा यहीं


जान से अपनी ज़्यादा है मुझे असग़र अज़ीज़
इसकी फुरक़त में मैं मर जाऊँगी बीमारे हज़ीन


बाद इसके गोद में सुग़रा ने असग़र को लिया
और कहा रोकर सिधारें अब शहे दुनिया ओ दीन


जब बहुत इसरार असग़र के लिये शह ने किया
तब यह बाते यासो हसरत से भरी सुग़रा ने कीं


खुद से गर असग़र चला जाए किसी की गोद में
तो खुशी से साथ ले जाएँ इमामल मुत्तक़ीं


सुन के यह फैलाए सबने हाथ असग़र की तरफ़
पर न उतरा गोदसे वह कौकबे – चरख़े बरीं


निज़दे असग़र उसके बाद आए हुसैन इब्ने अली
और कहा यह कान में असग़र के क्यों एै महजबीन


बख़्शीशे उम्मत का क्या तुमको नहीं मुतलक़ ख़्याल
अब चलो कब्रों बला एै नजमे खत्मुल मुरसलीन


सुनके यह आवाज शह की गोद में आया वह तिफ़्ल
अल गरज़ राही हुए वाँ से सिपेहसालारे दीन


वह सफ़र एहले हरम का और वह बच्चों का साथ
धूप की हिद्दत हवाएँ गरम और तपती जमीं


रास्ते की सख्तियाँ सहते हुए वारिद हुए
दूसरी माहे अज़ा को कर्बला में शाहे दी


‘फिक्र’ को अब हिन्द में रहना बहुत दुशवार है
अपने रौज़े पर बुला लो या इमामल मुत्तकीं


NAUHA IN URDU


NAUHA TRANSLATION

(Please note that we have NOT attempted to put the translation into rhyme and IT simply conveyS the gist of the nauha’s meanings).

DOOSRI MAAH’E MUHARRAM KI HAI ROAEIN MOMENEEN
Lament o pious people as it is the second of Moharram
KARBALA MEIN AA CHUKE HAIN MAALIKE KHULD’E BAREEN
The master of heaven has arrived in Karbala

BAST O HASHTUM KO RAJAB KI JAB CHALE SULTAANE DEEN
When the sultan of Islam embarked on the twenty-eight of Rajab
AUUR AAMAADA HUI CHALNE PA BEEMAAR O HAZEEN
And ill & weak (Fatima Sughra) insisted on coming along

SHAH NE FARMAAYA KE BEEMAARI MEIN KYUNKAR SAATH LOON
The Shah said – How can I take you along in this condition
FATIMA SUGHRA ABHI KUCH ROAZ TUM THAHRO YAHEEN
Fatima Sughra, you stay here for some days

JAB KISI JAA PAR HAMAARA HOGA AEY BEITI QAYAAM
When we stop at some place o’ daughter
BHEIJ KAR AKBAR KO BULWA LEINGE HUM TUMKO WAHEEN
I shall send Akbar to fetch you there

SHAH SE SUGHRA NE KAHA ACHCHA AGAR JAAT’E HAIN AAP
Sughra said to the Shah – all right,. if you are going
RAHNE DEEJEY MEIRE CHOATE BHAAI KO BAABA YAHEEN
At least leave my younger brother (Ali Asghar) here Baaba

JAAN SE APNI ZIYAADA HAI MUJHE ASGHAR AZEEZ
I value Asghar more than my life
ISKI FURQAT MEIN MAIN MAR JAAUNGI BEEMAAR O HAZEEN
I shall pine away in his absence

BAAD ISSKE GOAD MEIN SUGHRA NE ASGHAR KO LIYA
After this Sughra took Asghar in her arms
AUR KAHA ROAKAR SIDHAAREIN AB SHAH’E DUNYA O DEEN
and said you can now depart o’ Shah of the world and Islam

JAB BAHOT ISRAAR ASGHAR KE LIYE SHAH NE KIYA
When the Shah pressed Sughra for Asghar
TAB YEH BAATEIN YAAS O HASRAT SE BHARI SUGHRA NE KEEN
then Sughra said thus with great longing & sadness

KHUD SE GAR ASGHAR CHALA JAAEY KISI KI GOAD MEIN
If Asghar goes to someone else’s arms by himself
TO KHUSHI SE SAATH LE JAAWEIN IMAM’E ISTAQEEN
Then the pious imam may happily take him along

SUN KE YEH PHAILAAEY SAB NE HAATH ASGHAR KI TARAF
Hearing this everyone spread their arms towards Asghar
PAR NA UTRA GOAD SE WOH KAUKAB’E CHARKH’E BAREEN
but the star of the sky (Ali Asghar) did not leave Sughra

NIZD’E ASGHAR USSKE BAAD AAEY HUSSAIN IBNE ALI
After this Hussain Ibne Ali approached Asghar
AUR KAHA YEH KAAN MEIN ASGHAR KE KYUN AEY MAH JABEEN
And whispered in his years o’ beautiful

BAKHSHISHE UMMAT KA KYA TUMKO NAHIN MUTLAQ KHAYAAL
Do you not have any regard for the community’s redemption?
AB CHALO KARBO BALA KO NAJM’E KHATMUL MURSALEEN
come now to karbo bala o’ star of the last Prophet

SUN KE YEH AAWAAZ SHAH KI GOAD MEIN AAYA WOH TIFL
on hearing this the infant came into the Shah’s arms
ALGHARAZ RAAHI HUEY WAAN SE SIPEH SAALAAR’E DEEN
at last the leader of Islam departed from there

WOH SAFAR HLE HARAM KA, AUR WOH BACHCHON KA SAATH
The journey of the entire family accompanied by children
DHOOP KI HIDDAT, HAWAAEIN GARM AUR TAPTI ZAMEEN
The scorching sun, hot winds & fiery land

RAASTE KI SAKHTIYAAN SAHT’E HUEY WAARID HUEY
after enduring the hardships of the journey
DOOSRI MAAH’E AZA KO KARBALA MEIN SHAH’E DEEN
the shah of Islam arrived at Karbala on the second of moharram

FIKR* KO AB HIND MEIN RAHNA BAHOT DUSHWAAR HAI
Fikr* finds it very difficult living away from your rauza
APNE RAUZ’E PAR BULA LO YA IMAAM’E MUTTAQEEN
please call me to your mausoleum o’ pious imam.


Download entire Bayaaz IN – ENGLISH | HINDI | URDU

Please recite a Sure Fateha for Syed Wirasat Ali Rizvi ibne Syed Mustafa Hussain Rizvi & All Momineen and Mominaat.